Tariq Ki Dua in Urdu Poetry
Tariq Ki Dua by Allama Muhammad Iqbal. Tariq Ki Dua is an Urdu poem promoting the dua of Tariq bin Ziyad at the time of battlefield of Undalas in Urdu poetry form by Shair e Mashriq Hazrat Allama Mohammad Iqbal.
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Israr Banday
Jinhain Tu ne Bakhsha hai Zauq-e-Khudai
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asraar Banday….
Do Neem in ki Thokar se Sehra-o-Darya
Simat kar Pahar in ki Haibat se Raayee
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asrar Banday
Do Alam se Karti hai Begaana Dil ko
Ajab Cheez hai Lazzat-e-Ashnayee
Shahadat hai Maqsood-o-Matoob-e-Momin
Na Maal-e-Ghanimat na kishwar kushayee
Kiya Tu ne Sehra Nasheenon ko Yakta
Khabar mai Nazar mai Azaan-e-Sahar mai
Talab jis ki Sadyon se thi Zindagi ko
Woh Soz Us ne paya in hi ke jigar mai
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Israar Banday
Jinhain Tu ne Bakhsha hai Zauq-e-Khudai
Kushad-e-Dar-e-Dil samajhtay hain usko
Halakat nahi maut in ki Nazar mai
Dil-e-Mard-e-Momin mai phir Zinda kar dai
Woh Bijli thi ke Nara-e-La Tazar mai
Azaaim ko Seenon mai Bedaar kar dai
Nigah-e-Musalma’n ko Talwar kar dai